A

Friday, November 02, 2007

Shayari 01

-T-A-N-H-A-I-I-I--



"~*~Rehtey Hain Saath Saath Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Kartey Hain Raaz Ki Baat Main Aur Meri Tanhai~*~

~*~Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer Main~*~
~*~Kartey Hain Basar Raat Main Aur Meri Tanhai~*~

~*~Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Saath~*~

~*~Lakin Rahain Gay Saath, Main Aur Meri Tanhai~*~

~*~Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi "Fakhiiiii"~*~
~*~Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai~*~

~*~Aa K Paas Kyon Door Ho Gaye ???? Hum Se~*~

~*~Kartey Hain Teri Talash Main Aur Meri Tanhai~


**************************************************************************

mere
khilaaf hua hai to us ka dar bhi nahin...
ye jaante hain ke woh itna mutabar
bhi nahin...

tujhe bhi dekh liya shaam-e-wada aakhir...
ab aitbaar
humein tere naam per bhi nahin...

yahan to saans lena bhi muhaal lagta
hai...
hum us faseel ke qaidi hain jis mein dar bhi nahin...

buhat
shadeed hai khuwahish uraan ki lekin...
qafas naseeb parindon ke baal-o-par
bhi nahin...

muhabbaton mein wafa ki saza to milni thi...
dil-e-tabah
tere kaam mutabir bhi
nahin...

***********************************************************************************

Kii
vafaa hamse to Gair use jafaa kahte hain
Kii vafaa hamse to Gair use jafaa
kahte hain
hotii aaii hai ke achchhon ko buraa kahte hain
aaj ham apanii
pareshaanii-e-Khaatir un se
kahne jaate to hain, par dekhiye kyaa kahte
hain
agle vaqton ke hain ye log, inhen kuchh na kaho
jo may-o-naGmein ko
andoharuubaa kahte hain
[andoharuubaa=cure for pain or sorrow]
dil me.n aa
jaa_e hai, hotii hai jo fursat Gash se
aur phir kaun se naale ko rasaa kahte
hain?
[Gash=senseless/in a faint; rasaa=with a long reach]
hai
par-e-sarahad-e-idaraak se apanaa masjuud
qible ko, ahal-e-nazar,
qiblaanumaa kahte hain
[par-e-sarahad-e-idaraak=beyond the boundaries of
knowledge]
[masjuud=to whom one bows i.e.
God]

****************************************************************************

paa-e-afagaar
pe jab se tujhe raham aayaa hai
Khaar-e-raah ko tere ham mehr-e-giyaa kahte
hain
[paa-e-afagaar=wounded feet; Khaar-e-raah=thorn in the road]

[mehr-e-giyaa=(blade of) grass of kindness]
ik sharar dil me.n hai, us se
ko_ii ghabaraayegaa kyaa
aag mataluub hai hamako, jo havaa kahte
hain
dekhiye laatii hai us shoKh kii naKhvat kyaa rang
us kii har baat pe
ham naam-e-Khudaa kahte hain
[naKhvat=pride]
vahshat-o-sheftaa ab marsiyaa
kahaven shaayad
mar gayaa "Ghalib"-e-aashuftaanavaa kahte
hain
[vahashat-o-sheftaa=two poets of that time; marsiyaa=eulogy/poem of
sorrow]
[aashuftaanavaa=one who speaks nonsense]
BY:- MIRZA
GHALIB

*******************************************************************************

tere
milane ko bekal ho gaye hai.n
magar ye log paagal ho gaye hai.n
bahaare.n
leke aaye the jahaa.N tum
vo ghar sun_saan jangal ho gaye hai.n
yahaa.N
tak ba.Dh gaye aalaam-e-hastii
ki dil ke hausale shal ho gaye
hai.n
kahaa.N tak taab laaye naatavaa.N dil
ki sadame ab musal_sal ho gaye
hai.n
nigaah-e-yaas ko niind aa rahii hai
musardaa pur_ashk bojhal ho gaye
hai.n
unhe.n sadiyo.n na bhuulegaa zamaanaa
yahaa.N jo haadase kal ho gaye
hai.n
jinhe.n ham dekh kar jiite the 'Nasir'
vo log aa.Nkho.n se ojhal ho
gaye
hai.n

**********************************************************************

tuu
hai yaa teraa saayaa hai
tuu hai yaa teraa saayaa hai
bhesh judaa_ii ne
badalaa hai
dil kii havelii par muddat se

Khaamoshii kaa qufl pa.Daa
hai

chiiKh rahe hai.n Khaalii kamare
shaam se kitanii tez havaa
hai

daravaaze sar pho.D rahe hai.n
kaun is ghar ko chho.D gayaa
hai

hichakii thamatii hii nahii.n 'Nasir'
aaj kisii ne yaad kiyaa
hai

***********************************************************************

Aaj
to be-sabab udaas hai jii
aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa
to ko_ii baat bhii thii

jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n
me.n

jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii
vahii.n phirataa huu.N mai.n
bhii Khaak ba-sar

is bhare shahar me.n hai ek galii
chhupataa phirataa
hai ishq duniyaa se
phailatii jaa rahii hai rusvaa_ii

ham_nashii.n
kyaa kahuu.N ke vo kyaa hai
chho.D ye baat niind u.Dane lagii

aaj to
vo bhii kuchh Khaamosh saa thaa
mai.n ne bhii us se ko_ii baat na
kii

ek dam us ke haath chuum liye
ye mujhe baiThe baiThe kyaa
suujhii

tuu jo itanaa udaas hai 'Nasir'
tujhe kyaa ho gayaa bataa to
sahii

******************************************************************


Falak
se jo zami pe utari
Lagti ho jese ek pari
Dekh ke tumko phool bhee
muskaraye
Sun ke aahat hawa bhee ruk jaye

Chanda kee chandni
tujmai
Suraj ke lalima mukh pe
Taro se saza tera ye anchal
Madu vina se
baze teri payal

Falak se jo zami pe utari
Lagti ho jese ek
pari

Dhere se tera palke uthana
Phir sharma ke unko girana
honto se
gungunaana
Ankho se na jane kya kah jana

Har ada main ek nai kashish
hai
Choon jaye dil ko esi teri tashveer hai

Bholi bhali se surat, sundarta
kee murat
Dekh ke sadgi teri, Chanda bhee kho jaye
Itni payari lagti
ho
Kee payar ko bhee payar tum se ho jaye

Hum bhee dekhe tumko chupke
se
Kuch na kah paye aap se
Par kha ke kasam tumari
Mere dil ko achi
lagti ho subse

Falak se jo zami pe utari
Lagti ho jese ek
pari

**********************************************************************


Kuch
Log Kitne Apne Se Nazar Ate Hain

"Kuch Log Kitne Apne Se Nazar Ate Hain

Sath Rehte Howe Bhi Dori Ka Ehsass Dilate Hain
Pal Main Hazaroo Khushiya
De Jate Hain
Tu Pal Main Zindagi Ko Jina Azab Kar Jate Hain

Naam
Humhara Likhte Hain Tu Mita Dete Hain
Kabhi Bol Kar Tu Kabhi Bina Bole
Kawish Ye
Kiu Humhara Dil Bar Bar Dukha Jatey Hain
Kiu Kuch Log Zindagi
Ko Azaab Kar Jate Hain


Main Kehta Hon Kuch Wo Kehte Hain Kuch

Buss Ghune Ghar Humhain Hi Keh Jate Hain
Kuch Log Kitne Apne Se Nazar
Ate Hain
Sath Rehte Howe Bhi Dori Ka Ehsass Dilate
Hain

*****************************************************************


dard
bhari zindagi ka suraag dhondte hai
hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte
hai
banaye thy tamsha zindagi ko es tarh
ke un mherbaano ka elaaj
dhondhte hai
koi en andhero main meri dil ki shmma jala de
hum apni
badnasibi ka raaz dhnodhte hai
hasrat ka aayina ye pather dil se toot
gaya
sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai
maazi ke tulkh
lamho ne hame jhulas ke rakh diya
dil ko bhlane ke liye koi haseen khaab
dhondhte
hai

********************************************************************

dukh
dard ke maaron se mera zikar na kerna...
ghar jao to yaaron se mera zikar na
kerna...

woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
tum raah
guzaron se mera zikar na kerna...

phoolon ke nasheman mein raha hoon mein
sada se...
dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna...

shayad ye
andhere hi mujhe raah dikhayein...
ab chaand sitaron se mera zikar na
kerna...

woh meri kahani ko galat rang na de dein...
afsana nigaaron
se mera zikar na kerna...

shayad woh mere haal pe besakhta rodein...

is baar baharon se mera zikar na kerna...

le jayenge gehrayi mein tum
ko bhi baha ker...
darya ke kinaron se mera zikar na kerna...

woh
shakhs mile to usey har baat batana...
tum sirf isharon se mera zikar na
kerna...

**************************************************************************

Kya
pyar mein aisa hota hai

Kay jise dil chahay uss pe mar janay ko dil
chahta hai
Kay uss kay ansoo pi janay ko dil chahta hai

Kay uss kay
har gham ko mitta dane ko dil chahta hai
Kay ussko har paal muskurata hua
dekhnay ko dil chahta
hai
Kay uss par zindagani lutta dane ko dil chahta
hai
Kay uss ka hath pakar kar urha le janay ko dil chahta hai

Kay
usski ankhon mein kho janay ko dil chahta hai
Kay usski pyari pyari baton ko
har pal sunne ko dil chahta hai

Kay ussko har khushi dane ko dil chahta
hai
Kay ussko har chot se mehfooz rakhne ko dil chahta hai

Kay usskay
rastay mein giray howe har kante ko utha dane ko dil chahta hai
Kay ussko dil
mein chupa lane ko dil chahta hai

Kay usko har paal sapnon mein rakhnay
ko dil chahta hai
Kya pyar mein aissa hota hai
Kay usski parchayee ko hee
dekh kar dil khush hojata hai

Kay usski ek nazar se hee dil ko sukoon
ajata hai
Kay usska chehra charon tarf cha jata hai

Kay usski baat
baat par pyar ajata hai
Kay usskee bahon mein sojane ko dil chahta
hai

Kay usski hathon ki lakeron ko dil badal de naa chahta hai
Kay
usskay naseeb mein likhi howa har gham dil apne naam karna dane chahta
hai

Kay usski har khuwahish ko dil pura kar dena chahta hai
Kay saray
jahan ki khushian dil usske kadmon mein bicha dena chahta hai....

Kya
pyar mein aissa hota hai
Kay usske sath jina to kya
Usske sath mar janay
ko dil chahta hai..........

Kya pyar mein aissa hota
hai.....

********************************************************************

KISI
ROZ

dard kyaa hota hai bataayenge kaisi roz
kamal ki Ghazal
tumko sunaayenge kisi roz

thi unki yeh zidd ke main jaaun unko
manaane
mujhko yeh veham tha voh bulaayenge kisi roz

Allah
qasam maine to socha bhi nahiin tha
voh "itnaa" mere dil ko
dukhaayenge kisi roz

har roz aayi'ne se yahi puuchta huun main

kya rukh pe tabbassum bhi sajaayenge kisi roz..?

udne do in pariindon ko
aazaad fazaa mein
tumhaare honge agar lauT hi aayenge kisi
roz

apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum
zakhm-e-jigar tam'aam
dikhaayenge kisi roz

jo peete rahe yuun hi dosto
hum keh rahe
hain jaan ganwaayenge kisi
roz

****************************************************************


dard
bhari zindagi ka suraag dhondte hai
hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte
hai .....

banaye thy tamsha zindagi ko es tarh
ke un mherbaano ka
elaaj dhondhte hai .....

koi en andhero main meri dil ki shmma jala
de
hum apni badnasibi ka raaz dhnodhte hai ....

hasrat ka aayina ye
pather dil se toot gaya
sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai
.....

maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya
dil ko bhlane
ke liye koi haseen khaab dhondhte
hai......

************************************************************************

naam
le le ker na mera shehar ki nazron mein aa...
mujh se milna hai to mere dil
ke sehraon mein aa...

us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan...

mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa...

log tujh ko
gungunyein meri khuwahish ki tarah...
ik achhote shehar ki soorat meri gazal
mein aa...

be hunar logon ne phir maanga mere fan ka saboot...
aa
meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa...

ghar ke darwaze pe aakar
kion qadam rakhne lage...
aa meri tanhayi, meri muntazir banhon mein
aa...

*************************************************************************

Wo
Dil Torr Gaya

woh Dil hi mera torr gaya
ek choti si baat pe rooth
gaya
mujhe chor gaya bhari duniya main
mere Dil ko kaise torr
gaya
maine sapne dekhe
sab us ke
woh sapne kaise torr gaya
main jo us ki thi woh mera tha
woh
kaise yeh sab bhool gaya
mere Dil ki baat hi na jaan saka
woh bewafa kya
karta wafa
woh meri wafa ko bhool gaya
woh Dil hi mera torr
gaya


**********************************************************************]

Bholi
Si Surat
Bholi si surat,aankhon mein masti
Aye hai,are bholi si
surat
Aankhon mein masti,door khadi sharnaaye,aye hai
Ek jhalak dikhiaye
kabhi,kabhi aanchal mein chupjaye
Aye hai,meri nazar se tum dekho to yaar
nazar woh aaye bholi si surat
Aankhon mein masti,door khadi sharnaaye,aye hai
aye hai
Ek jhalak dikhlaye kabhi,kabhi aanchal mein chupjaye
Aye hai, meri
nazar se tume dekho to yaar nazar woh aaye bholi si surat
Aankhon mein
masti,door khadi sharnaaye,aye hai aye hai
Ladki nahin hai,woh jaadu hai, aur
kaha kya jaye
Raat ko mere khawab mein aayee,woh zulfe bikhrayee
Aankh
khuli to dil chaha phir neend mujhe aajaye
Bin dekhe yeh haal hua,dekhu to
kya ho jaaye
bholi si surat
Aankhon mein masti,door khadi sharnaaye, aye
hai
Ek jhalak dikhlaye kabhi,kabhi aanchal mein chupjaye
Aye hai
Meri
nazar se tum dekho to yaar nazar woh aaye
Bholi si surat
Aankhon mein
masti
Aye hai
Saawan ka pehla baadal,uska kaajal banjaaye
Mauj uthe
saagar mein jaise aise kadam uthaye
Rab ne jaane kis mitti se uske ang
banaye
Chum se kaash kahiin se mere saamne woh aajaaye
Bholi si
surat
Aankhon mein masti,door khadi sharnaaye,aye hai
Ek jhalak dikhlaye
kabhi kabhi aanchal mein chupjaye
Aye hai
Meri nazar se tume dekho to yaar
nazar woh aaye
Bholi si surat
Aankhon mein masti,door bhadi
sharnaye
Aye hai
Aye
hai

*********************************************************************


Irshaad
hai......
Qudrat ka khel hai shayad, meri qismat ka hai
Jo bhi hai meray
saath hi kyoun hota hai
Karkay iqrar din guzray bhi nahi kay saal beet
gaye
Raastay par saath chodh gaye, aisa kyoun hota hai
Humnay aisa kiya
vaada kay hum todh na sakay
Tum itni aasani say todh gaye, aisa kyoun hota
hai
Apni taraf say wafoun ka diya humnay har ek imtihan
Tum har ek imtihan
chodh gaye, aisa kyoun hota hai
Yeh tho hona hi tha ek din jo hum pehchaan na
sakay
Woh aisa bewafa nikla na soncha par aisa kyoun hota hai.
Bas ab
karli koshish har baar zaab nay
Ab na agay pachtaounga kay
aisa kyoun hota
hai, aisa kyoun hota
hai.....

*****************************************************************

Toot
jaata hoon jab yaad karta hoon
bikhar jaata hoon jab bhi sochta
hoon

zarra zarra mera jal ke shola ho jaata hai
rom rom mein tees si
utthne lagti hai
dil bechaara chup chaap dekhta rehta hai
aur aankhein
baadal ban jaati hain

mehsoos karta hoon kuchh armaanon ki
zindaa
laashon ko jalaa dena
suntaa hoon unki cheekhon ko kaan bandd
karke
bedard se dard ki bedard hasi

mazzakk udaane lagti
hai
utthhaati hai ungali meri laachaari ki taraf
aur dhoondh kar sabse
zakhmi ragg
use dabaa dabaa kar poochhti hai

yaheen hai na dard...???
aur ye lab bhi bewafaa
apni tabassum ke aagosh mein khoye rehte hain
sard
hawaa chheel kar badan ki jeeld ko
jaane kya talaash karti hai

khurach
khurach kar ek ek tamanna ko
uski har parat ko teh nikaal kar
usmein
chhupe dard ko kheench kar masalti hai
teri yaad jab bhi aati
hai

bebass sa mehsoos kartaa hoon
bebass sa mehsoos karta hoon
teri
yaad jab bhi aati
hai...

******************************************************************

Hum
ne pyar main paya to kya paya
Kabhi khood ro diye kabhi tum ko
rulaya
Halat-e-ghum main beh gaya jo aansoon
Who zindagi main phir kabhi
na behnay paya
Saza mujhay mili or jaza unhain
Aisa bhi kya insaf ne hai
sir jhukaya
Himat naheen thi us main saath dene ki
Ab tak na janey who
kaisay chal paya

Tukray apnay wajood ke rooz jorta hoon main
Usnay
meray dil ko aisa bikhraya
Zulm per zulm kertay rahay who or
"faisal"
Khamoosh hi raha, kabhi uff ker na paya
!!!

***********************************************************************

Badi
nazuk hai ye manzil,muhabbat ka safar hai

Zara aaram se ai dil,muhabbat
ka safar hai

Kahi jaan na le koi bada dar lagta hai
Magar dar se bhi
kya hasil,muhabbat ka safar hai

Bataya bhi nahi jata chupana bhi kathin
hai
Khudara kaisi ye mushqil, muhabbat ka safar
hai

*********************************************************************


Iss
kadar pyar ka izahaar nahi hota,
jo do kadam saath chale wo yaar nahi hota,

pyar karne wale to kaanton per chalte hain,
jo aajaye sholey to sholon
pe chalte
hain, kyon tujhe mere pyar per nahi aitabaar hota,
agar dilon me
sacha pyar nahi ho to ye
duniya nahi hoti yeh sansaar nahi
hota

**********************************************************************

Ager
hosake to jake koe hal us se keh de
mere kat rahe hen kese mehr-o- sal us se
keh de

main azal se janti hon k tu kuj ada naheen he
tere sath koe
chal gaya he chaal us se keh de

tera naam hi to tha kal mere zakham-e-jan
ka baes
tera naam hi to ab he meri dhaal us se keh de

koe sal ho k pal
ho koe shair ho ghazal ho
tere naam hochuka he mera mal us se keh
de

wo jo bakht men likha tha mere dard mil gaya he
na gila karongi koe
koe na malal us se keh de

wo jo rah main shajar tha wo buhat badl gaya
he
na wo aashiyan kaheen he na wo daal us se keh
de

******************************************************************

mehtaab
rutein aayein to kiya kiya nahin kertein...
is umar mein to larkiyan soya
nahin kertein...

kuchh larkiyan anjaam nazar aate hoe bhi...
jab ghar
se nikalti hain to socha nahin kertein...

yaan pyaas ka izhaar malamat
hai gunah hai...
phoolon se kabhi titliyan poochha nahin
kertein...

aangan mein ghane pair ke neeche teri yaadein...
mela sa
lagadeti hai achha nahin kertein...

qismat jinhein kerde shab-e-zulmat ke
hawale...
aanchal woh kisi naam ka orha nahin kertein...

jo larkiyan
taareek muqaddar hon kabhi bhi...
raaton ko diye ghar jalaya nahin
kertein..

.***************************************************************************

Kyaa
kahuun tum se main ke kyaa hai ishq

Kyaa kahuun tum se main ke kyaa hai
ishq
jaan kaa rog hai, balaa hai ishq

ishq hii ishq hai jahaan dekho

saare aalam mein bhar rahaa hai ishq

ishq maashuuq ishq aashiq hai

yaani apanaa hii mubtalaa hai ishq

ishq hai tarz-o-taur ishq ke
taaiin
kahiin ba.ndaa kahiin Khudaa hai ishq

kaun maqsad ko ishq bin
pahunchaa
aarazuu ishq vaa muddaa hai ishq

koyii Khvaahan nahiin
mohabbat kaa
tuu kahe jins-e-naarawaa hai ishq

Meerji zard hote jaate
hain
kyaa kahiin tum ne bhii kiyaa hai
ishq?

***************************************************************************

Ab
kis sey kahein ...

Ab kis sey kahein aur kon suney jo haal tumharey baad
huva
is dil ki jheel si aankhon main ik khab bohat barbad huva

ye
hijr hawa bhi dushman hey us naam key sarey rangon ki
wo naam jo mairay
honton par khushbu ki tarhan abaad huva

us shehar men kitney chehrey
they kuch yaad nahi sab bhool gaye
ik shaks kitabon jaissa tha wo shaks
zubani yaad
huva

***********************************************************************

Muhabbat
kum nahi ho gi

meri ankhain salamat hain
mera dil meray seenay main
dharakta hai
muje mehsoos hota hai
Muhabbat kum nahi ho gi
muhabbat
aik wadah hai
jo sacha'ai ki undaikhi
kisi saa'at main hota hai
kisi
raahat main hota hai
ye wadah sha'airi bun kar
meray jazbon main dhalta
hai
muje mehsoos hota hai
Muhabbat kum nahi ho gi
muhaabat aik
mausam hai
k jis main gulab khiltay hain
to khwabon ki hari shakhain

gulabon ko bulati hain
inhain khushbu banati hain
ye khushbu jab
hamari khirkion par
dastakain day kar guzarti hai
mujhe mehsoos hota hai

Muhabbat kum nahi ho gi
Muhabbat kum nahi ho
gi

************************************************************************

Muhabbat
Nahin Mili ...

Aisa nahin keh hum ko muhabbat nahin mili
Haan jaisi
chahatey they wo qurb nahin mili

Milnay ko zindagi mein kaye Humsafar
milay
Laikin Tabeeyatoon sai tabeeyat nahin mili

Chahroon keh hur
hajoom mein hum dhondtey rahey
Soorat nahin mili kahin seerat nahin mili


Wo yuk baik mila tou boohat deir tuk humein
Alfaaz dhoondney ki bhi
muhlat nahin mili

Us ko gila raha keh tawajjo na di usay
Laikin
humaein khud apni rafaqat nahin mili

hur shakh zindagi mein boohat deir
sai mila
Koi bhi cheez husb-e-zaroorat nahin mili

No comments:

R